Mobile screen ko led TV se connect kaise kare |how to connect mobile screen on led TV screen

Dosto aaj hum aapko Android Mobile Ko LED TV Se Kaise Connect Kare ke bare me batate hai. Sabi ke pass Smartphone hota hai. Inme save Video, Photo aur Game ko T.V. ke badi Screen me dekhna chahte hai to ab aap apne Phone Ko TV Se Connect karke iska maza le sakte hai. In this post LED TV Ko Mobile Se Connect Karne Ki Step by Step Puri Jankari milegi.

Android Mobile Ko LED TV Se Kaise Connect Kare

Agar aap sochte hai ki Google playstore par mobile ko tv se connect karne wala app mil jayega, to aisa koi apps nahi hai. Apke pass HDTV, LED ya LCD koi bhi ho agar mobile ko led tv se jodna chahte hai to is post me bataye steps se kar sakte hai.Niche jo tarike apko bata rahe hai unme se koi bhi ek Android phone ko tv se connect karne ki tricks ko follow kar sakte hai.

Android Phone Ko LED TV Se Connect Karne Ka Tarika

Kisi bhi Android Phone ko TV se jodne ke 4 tarike hote hai. Yaha hum mobile ka data tv screen par chalane ka sabhi method bata rahe hai.

Android Phone Ko LED TV Se Connect Karne Ka Tarika

Kisi bhi Android Phone ko TV se jodne ke 4 tarike hote hai. Yaha hum mobile ka data tv screen par chalane ka sabhi method bata rahe hai.

Method 1: Micro HDMI Cable

LED T.V. ko Mobile se Connect karne ke liye Micro HDMI Cable ki jarurat padegi. Yah kisi bhi computer shope se kharid sakte hai.Dhyan rahe is HDMI cable se apka mobile tv tabhi connect hoga jub is cable ka ek hissa apke tv ke HDMI port me fit hota ho aur dusra hissa apke smartphone ke Charging wale port me connect hota ho.

Steps:

Sabse pahle mobile phone aur t.v. ko HDMI Cable ki help se connect kare.T.V. ke Menu me jakar Input me HDMI ko select kare.

Apke phone me Ok ka option ayega done kare.Ab aap mobile ka Display T.V. par dekh sakte hai.

Method 2: USB Cable

USB Cable apke Charger se jo Cable alag hoti hai wahi USB ya Data cable hoti hai.Apko T.V. ko Mobile se jodne ke liye USB Data Cable ki madad se Connect karna hai.

T.V. ke Menu me jakar USB select kare.Ab apke phone ka sara data t.v. me show ho raha hoga.

Method 3: Wi-Fi Wireless

TV ko Mobile se connect karne ke liye Phone or TV me Wi- Fi System hona jaruri hai.

Sabse pahle apne T.V. aur Mobile ka Wi-Fi on kare.T.V. ko Mobile Wi-Fi se connect kare.

Connect hone par phone ke wi-fi me connected likha aa jayega.Ab apka mobile tv par chalne lagega.

Method 4: Bluethooth

Apne T.V. ke Menu me jakar Bluethooth Enable kare.Ab phone ka Bluethooth on kar ke Device Search kare.Apke T.V.ka name aane ke bad usko select kare.

Ab aap Mobile ko T.V. se pair kare.Ab aap jo bhi apne mobile me karenge wo sab t.v. ke screen par dikhai dega.

More information watch the full video

Mobile ko tv se connect kaise kare
Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *